Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruswa kiya shuur ko danai chhin li

Qaisar Siddiqi

ruswa kiya shuur ko danai chhin li

Qaisar Siddiqi

MORE BYQaisar Siddiqi

    rusvā kiyā shu'ūr ko dānā.ī chhīn

    jehl-e-ḳhirad ne āñkhoñ se bīnā.ī chhīn

    sāñsoñ meñ gūñjtī huī shahnā.ī chhīn

    shahroñ ne mujh se gaañv purvā.ī chhīn

    is tarah bhī badalte haiñ nazroñ ke zāviye

    ḳhud ḳhvāb ne ḳhvāb ra.anā.ī chhīn

    rūhoñ muflisī ne bahar-hāl ek din

    chehra-ā.inoñ se ḳhū-e-shanāsā.ī chhīn

    hoñT ā.inoñ ke yūñhī nahīñ haiñ sile hue

    arzānī-e-jamāl ne goyā.ī chhīn

    fitrat ye tazād ajīb-o-ġharīb hai

    tanhā.ī dene vaale ne tanhā.ī chhīn

    ruswa kiya shu'ur ko danai chhin li

    jehl-e-KHirad ne aankhon se binai chhin li

    sanson mein gunjti hui shahnai chhin li

    shahron ne mujh se ganw ki purwai chhin li

    is tarah bhi badalte hain nazron ke zawiye

    KHud KHwab hi ne KHwab ki ranai chhin li

    ruhon ki muflisi ne bahar-haal ek din

    chehra-ainon se KHu-e-shanasai chhin li

    honT aainon ke yunhi nahin hain sile hue

    arzani-e-jamal ne goyai chhin li

    fitrat ka ye tazad ajib-o-gharib hai

    tanhai dene wale ne tanhai chhin li

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now