ruswai ke sath dil-e-nakaam aaya
rusvā.ī ke saath dil-e-nākām aayā
dekh ye tere 'ishq meñ kyā in'ām aayā
bastī meñ sab pyāse aur ik mai-ḳhāna
apne hisse aksar ḳhālī jaam aayā
'umr Dhalī to zehn ne chhoḌ diyā thā saath
dil hī āḳhir-kār hamāre kaam aayā
muddat baa'd kisī ne ham ko dastak dī
muddat baa'd laboñ par terā naam aayā
raat ga.e phir dard uThā thā siine meñ
tujh par nazm likhī aur tab ārām aayā
ruswai ke sath dil-e-nakaam aaya
dekh ye tere 'ishq mein kya in'am aaya
basti mein sab pyase aur ek mai-KHana
apne hisse aksar KHali jam aaya
'umr Dhali to zehn ne chhoD diya tha sath
dil hi aaKHir-kar hamare kaam aaya
muddat ba'd kisi ne hum ko dastak di
muddat ba'd labon par tera nam aaya
raat gae phir dard uTha tha sine mein
tujh par nazm likhi aur tab aaram aaya
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 113)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.