Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruh jaise kisi badan ki tarah

Tanmay Mishra

ruh jaise kisi badan ki tarah

Tanmay Mishra

MORE BYTanmay Mishra

    ruuh jaise kisī badan tarah

    aur badan us pe pairahan tarah

    us āñkhoñ yaad aatī hai

    mujh ko chhūTe hue vatan tarah

    ham haiñ mahrūm rang-o-ḳhushbū se

    ya.anī tanhā ujāḌ-ban tarah

    ham ne duniyā tamām dekhī hai

    kuchh nahīñ us ke bhole-pan tarah

    zindagī har qadam ghanā jangal

    ham haiñ bhaTke hue hiran tarah

    ham haiñ us Thor zindagī meñ jahāñ

    har dukhan hai hameñ suḳhan tarah

    ruh jaise kisi badan ki tarah

    aur badan us pe pairahan ki tarah

    us ki aankhon ki yaad aati hai

    mujh ko chhuTe hue watan ki tarah

    hum hain mahrum rang-o-KHushbu se

    yani tanha ujaD-ban ki tarah

    hum ne duniya tamam dekhi hai

    kuchh nahin us ke bhole-pan ki tarah

    zindagi har qadam ghana jangal

    hum hain bhaTke hue hiran ki tarah

    hum hain us Thor zindagi mein jahan

    har dukhan hai hamein suKHan ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now