Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruh ke jaane ki qalib se koi muddat nahin

Jameela Khuda Bakhsh

ruh ke jaane ki qalib se koi muddat nahin

Jameela Khuda Bakhsh

MORE BYJameela Khuda Bakhsh

    ruuh ke jaane qālib se koī muddat nahīñ

    sabr kar ai dil tujhe kyā sabr tāqat nahīñ

    kyā mirī betābī-e-dil bā.is-e-vahshat nahīñ

    ye ḳhalish pahlū mere monis-e-ġhurbat nahīñ

    dil nahīñ hai vo nahīñ hai ishq jis meñ guzar

    vo bhī koī aañkh hai jis aañkh meñ hasrat nahīñ

    koī ḳhvāhāñ sīm-o-zar koī tālib taḳht

    mere aage faqr se behtar koī daulat nahīñ

    aao baiTho shauq se ḳhud ko chhupā kar dil meñ tum

    is se behtar do-jahāñ meñ gosha-e-uzlat nahīñ

    ḳhulq himmat aur muravvat haiñ sharaf insān ke

    vo kabhī insāñ nahīñ hai jis meñ ye hālat nahīñ

    ḳhūn-e-dil piitā hai aur khātā hai vo laḳht-e-jigar

    āb-o-dāna tire bīmār ko hājat nahīñ

    le ke dil merā dam-e-ruḳhsat vo ye kahne lage

    ḳhil.at-e-tahsīñ se behtar koī bhī ḳhil.at nahīñ

    ai 'jamīla' sūrat-e-tasvīr maiñ ḳhāmosh huuñ

    zo.af had se baḌh gayā nāloñ ab qudrat nahīñ

    ruh ke jaane ki qalib se koi muddat nahin

    sabr kar ai dil tujhe kya sabr ki taqat nahin

    kya meri betabi-e-dil bais-e-wahshat nahin

    ye KHalish pahlu ki mere monis-e-ghurbat nahin

    dil nahin hai wo nahin hai ishq ka jis mein guzar

    wo bhi koi aankh hai jis aankh mein hasrat nahin

    koi KHwahan sim-o-zar ka koi talib taKHt ka

    mere aage faqr se behtar koi daulat nahin

    aao baiTho shauq se KHud ko chhupa kar dil mein tum

    is se behtar do-jahan mein gosha-e-uzlat nahin

    KHulq himmat aur murawwat hain sharaf insan ke

    wo kabhi insan nahin hai jis mein ye haalat nahin

    KHun-e-dil pita hai aur khata hai wo laKHt-e-jigar

    aab-o-dana ki tere bimar ko hajat nahin

    le ke dil mera dam-e-ruKHsat wo ye kahne lage

    KHilat-e-tahsin se behtar koi bhi KHilat nahin

    ai 'jamila' surat-e-taswir main KHamosh hun

    zoaf had se baDh gaya nalon ki ab qudrat nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now