Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruh ke mojazon ka zamana nahin jism hi kuchh karamat karte rahen

Irfan Siddiqi

ruh ke mojazon ka zamana nahin jism hi kuchh karamat karte rahen

Irfan Siddiqi

MORE BYIrfan Siddiqi

    ruuh ke mojazoñ zamāna nahīñ jism kuchh karāmāt karte raheñ

    apne hone elaan karte raheñ apne hone isbāt karte raheñ

    barf-e-rut aa ga.ī phir na.ī bastiyoñ se na.ī hijratoñ ne pukārā hameñ

    lekin is baar pardes jaate hue rāstoñ par nishānāt karte raheñ

    phir koī tishna-lab tiir is dasht meñ ham tak aayā hai tai kar ke kitnā safar

    ai rag-e-jāñ jū-e-ravāñ ham bhī kuchh mehmāñ mudārāt karte raheñ

    ek peḌ par saañp aur aadmī saath rahte haiñ sailāb utarne talak

    ham-safar hai agar dushman-e-jāñ to kyā raah sunsān hai baat karte raheñ

    jaan lene vaisā salīqa abhī lashkar-e-dushmanāñ meñ kisī ko nahīñ

    aao ab apne ḳhemoñ meñ vāpas chaleñ dostoñ se mulāqāt karte raheñ

    ruh ke mojazon ka zamana nahin jism hi kuchh karamat karte rahen

    apne hone ka elan karte rahen apne hone ka isbaat karte rahen

    barf-e-rut aa gai phir nai bastiyon se nai hijraton ne pukara hamein

    lekin is bar pardes jate hue raston par nishanat karte rahen

    phir koi tishna-lab tir is dasht mein hum tak aaya hai tai kar ke kitna safar

    ai rag-e-jaan ki ju-e-rawan hum bhi kuchh mehman ki mudaraat karte rahen

    ek hi peD par sanp aur aadmi sath rahte hain sailab utarne talak

    ham-safar hai agar dushman-e-jaan to kya rah sunsan hai baat karte rahen

    jaan lene ka waisa saliqa abhi lashkar-e-dushmanan mein kisi ko nahin

    aao ab apne KHemon mein wapas chalen doston se mulaqat karte rahen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now