Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruh ke zaKHm se chehre pe tawanai hai

Khwaja Shauq

ruh ke zaKHm se chehre pe tawanai hai

Khwaja Shauq

MORE BYKhwaja Shauq

    ruuh ke zaḳhm se chehre pe tavānā.ī hai

    be-hisī shiddat-e-ehsās gahrā.ī hai

    har nafas tishnagī-e-dard pazīrā.ī hai

    dil jise kahte haiñ ik mahshar-e-tanhā.ī hai

    ḳhud-farāmosh huuñ maiñ ishq farāmosh nahīñ

    bhūltā tujh ko to kahtā tirī yaad aa.ī hai

    vaqt jabr hai majbūri-e-dil se bhī sivā

    varna asl kise tāb-e-shakebā.ī hai

    thī nazar jalva jalva tire nazzāre tak

    ab nazar kyā hai faqat tohmat-e-bīnā.ī hai

    hañste hañste kabhī aañsū nikal aa jaate the

    ga.e ab ka.ī aañsū to hañsī aa.ī hai

    kar ga.ī shahr tahzīb taraqqī kitnī

    qātiloñ ko bhī yahāñ nāz-e-masīhā.ī hai

    ḳhush-mizājī se na khā ahl-e-chaman dhokā

    dil se begāne haiñ chehroñ se shanāsā.ī hai

    daad de kaun mirī be-sar-o-sāmānī

    har koī apnī tabāhī tamāshā.ī hai

    sabr sabr hai dastūr-e-mohabbat shaañ

    jabr-e-mahbūb pe ā.īn-e-zuleḳhā.ī hai

    ruh ke zaKHm se chehre pe tawanai hai

    be-hisi shiddat-e-ehsas ki gahrai hai

    har nafas tishnagi-e-dard pazirai hai

    dil jise kahte hain ek mahshar-e-tanhai hai

    KHud-faramosh hun main ishq faramosh nahin

    bhulta tujh ko to kahta teri yaad aai hai

    waqt ka jabr hai majburi-e-dil se bhi siwa

    warna asl kise tab-e-shakebai hai

    thi nazar jalwa hi jalwa tere nazzare tak

    ab nazar kya hai faqat tohmat-e-binai hai

    hanste hanste kabhi aansu nikal aa jate the

    pi gae ab kai aansu to hansi aai hai

    kar gai shahr ki tahzib taraqqi kitni

    qatilon ko bhi yahan naz-e-masihai hai

    KHush-mizaji se na kha ahl-e-chaman ki dhoka

    dil se begane hain chehron se shanasai hai

    dad de kaun meri be-sar-o-samani ki

    har koi apni tabahi ka tamashai hai

    sabr hi sabr hai dastur-e-mohabbat ki shan

    jabr-e-mahbub pe aain-e-zuleKHai hai

    Source:

    Chashm-e-Nigran (Pg. 50)

    • Author: Khwaja Shauq
      • Publisher: Husami Book Depot, Hyderabad
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now