Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruh ko qaid kiye jism ke haalon mein rahe

Shahid Kabir

ruh ko qaid kiye jism ke haalon mein rahe

Shahid Kabir

MORE BYShahid Kabir

    ruuh ko qaid kiye jism ke hāloñ meñ rahe

    log makḌī tarah apne jāloñ meñ rahe

    jism ko aa.ina dikhlāte haiñ saa.e varna

    aadmī ke liye achchhā thā ujāloñ meñ rahe

    vaqt se pahle ho kyuuñ zehn pe ḳhurshīd bojh

    raat baaqī hai abhī chāñd piyāloñ meñ rahe

    phir to rahnā hai ghūre muqaddar ho kar

    phuul taaza hai abhī reshmī bāloñ meñ rahe

    shauq hai to bahar-hāl tamāshā baniye

    ye zarūrī nahīñ vo dekhne vāloñ meñ rahe

    ab calendar meñ nayā DhūñDiye chehra 'shāhid'

    kab talak ek tasvīr ḳhayāloñ meñ rahe

    ruh ko qaid kiye jism ke haalon mein rahe

    log makDi ki tarah apne hi jalon mein rahe

    jism ko aaina dikhlate hain sae warna

    aadmi ke liye achchha tha ujalon mein rahe

    waqt se pahle ho kyun zehn pe KHurshid ka bojh

    raat baqi hai abhi chand piyalon mein rahe

    phir to rahna hi hai ghure ka muqaddar ho kar

    phul taza hai abhi reshmi baalon mein rahe

    shauq hi hai to bahar-haal tamasha baniye

    ye zaruri nahin wo dekhne walon mein rahe

    ab calendar mein naya DhunDiye chehra 'shahid'

    kab talak ek hi taswir KHayalon mein rahe

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ruh ko qaid kiye jism ke haalon mein rahe Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now