Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruh mein man ke dariche se koi jhank gaya

Takht Singh

ruh mein man ke dariche se koi jhank gaya

Takht Singh

MORE BYTakht Singh

    ruuh meñ man ke darīche se koī jhāñk gayā

    zulf-e-ehsās meñ ḳhushbū kiran Taañk gayā

    gard baiThī bhī na thī jhaḌ ke abhī talvoñ se

    gard-bād uTh ke use jāniye kyoñ phāñk gayā

    yā-rab us husn uryāniyāñ kaisī hoñgī

    parda-e-gul meñ jise terā fusūñ Dhāñk gayā

    kis ko bhā.īñ na miThāseñ mire armānoñ

    kaun hālāt talḳhī ko idhar haañk gayā

    jo bhī dar aaya mire fan tabassum-gah meñ

    le ke saath apne ujāle madhur phāñk gayā

    pāsh-pāsh aañkh meñ ā.īna huā kis lau

    kaun añdhere meñ mah-o-kāhkashāñ Taañk gayā

    chashm-e-sarsar meñ khaTaktā hai vo dīvāna jo kal

    reg-e-sahrā pe kaf-e-pā ke nishāñ aañk gayā

    ruh mein man ke dariche se koi jhank gaya

    zulf-e-ehsas mein KHushbu ki kiran Tank gaya

    gard baiThi bhi na thi jhaD ke abhi talwon se

    gard-baad uTh ke use jaaniye kyon phank gaya

    ya-rab us husn ki uryaniyan kaisi hongi

    parda-e-gul mein jise tera fusun Dhank gaya

    kis ko bhain na miThasen mere armanon ki

    kaun haalat ki talKHi ko idhar hank gaya

    jo bhi dar aaya mere fan ki tabassum-gah mein

    le ke sath apne ujale ki madhur phank gaya

    pash-pash aankh mein aaina hua kis lau ka

    kaun andhere mein mah-o-kahkashan Tank gaya

    chashm-e-sarsar mein khaTakta hai wo diwana jo kal

    reg-e-sahra pe kaf-e-pa ke nishan aank gaya

    Source:

    (Pg. 84)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now