Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruh pe kya kya zarb lage hain jism ki khincha-tani mein

Zia Zameer

ruh pe kya kya zarb lage hain jism ki khincha-tani mein

Zia Zameer

MORE BYZia Zameer

    ruuh pe kyā kyā zarb lage haiñ jism khīñchā-tānī meñ

    ishq hāsil dekh rahe haiñ ham donoñ hairānī meñ

    ek mirā ā.īna-ḳhāna ek tumhāre jism lau

    ḳhauf-zada dil soch rahā hai aag lage kab paanī meñ

    ham ko kyā ma.alūm thā us ne kyā kyā chhupā ke rakhā thā

    ham ne dupaTTa khīñch liyā thā shāne se nādānī meñ

    paise de kar jism ḳharīdo lekin ye ehsās rahe

    bhuuk nihāñ hotī hai aksar jismoñ uryānī meñ

    jigrī yaar ke saath jo rakhā tab mujh par ye raaz khulā

    ḳhūbiyāñ kitnī poshīda haiñ mere dushman-e-jānī meñ

    hoñToñ se is dard ḳhushbū aa kar jism meñ phail ga.ī

    kitnā dard ikaTThā thā is ThanDī peshānī meñ

    jald us ko nochne vaale mil kar jashn manāeñge

    taaza taaza phuul khilā hai gadle gadle paanī meñ

    ruh pe kya kya zarb lage hain jism ki khincha-tani mein

    ishq ka hasil dekh rahe hain hum donon hairani mein

    ek mera aaina-KHana ek tumhaare jism ki lau

    KHauf-zada dil soch raha hai aag lage kab pani mein

    hum ko kya malum tha us ne kya kya chhupa ke rakha tha

    hum ne dupaTTa khinch liya tha shane se nadani mein

    paise de kar jism KHarido lekin ye ehsas rahe

    bhuk nihan hoti hai aksar jismon ki uryani mein

    jigri yar ke sath jo rakha tab mujh par ye raaz khula

    KHubiyan kitni poshida hain mere dushman-e-jaani mein

    honTon se is dard ki KHushbu aa kar jism mein phail gai

    kitna dard ikaTTha tha is ThanDi si peshani mein

    jald hi us ko nochne wale mil kar jashn manaenge

    taza taza phul khila hai gadle gadle pani mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now