Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruh tak aa ki mujhe us ka sahaara hai bahut

Nivesh Sahu

ruh tak aa ki mujhe us ka sahaara hai bahut

Nivesh Sahu

MORE BYNivesh Sahu

    ruuh tak aa ki mujhe us sahārā hai bahut

    jism mat chheḌ mujhe jism ne maarā hai bahut

    chāñd kis ko talab hai ki yahāñ tārīkī

    is qadar hai ki mujhe ek sitāra hai bahut

    merī jānib se sadā aur sadā aur sadā

    us jānib se faqat ek ishāra hai bahut

    maiñ huuñ ḳhvāboñ havā hai haqīqat charāġh

    paas hoñ donoñ to is meñ bhī ḳhasāra hai bahut

    is ġham chhoḌ kahāñ kaise kaTī hijr meñ umr

    vo ghaḌī soch jise saath guzārā hai bahut

    mirā ḳhvāb hai sardī kisī raat ḳhvāb

    sard hai jis meñ badan ruuh paara hai bahut

    ruh tak aa ki mujhe us ka sahaara hai bahut

    jism mat chheD mujhe jism ne mara hai bahut

    chand ki kis ko talab hai ki yahan tariki

    is qadar hai ki mujhe ek sitara hai bahut

    meri jaanib se sada aur sada aur sada

    us ki jaanib se faqat ek ishaara hai bahut

    main hun KHwabon ki hawa tu hai haqiqat ka charagh

    pas hon donon to is mein bhi KHasara hai bahut

    is ka gham chhoD kahan kaise kaTi hijr mein umr

    wo ghaDi soch jise sath guzara hai bahut

    tu mera KHwab hai sardi ki kisi raat ka KHwab

    sard hai jis mein badan ruh ka para hai bahut

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now