Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruh tanha gai jannat ko subuk-sari se

Kalb-e-husain Nadir

ruh tanha gai jannat ko subuk-sari se

Kalb-e-husain Nadir

MORE BYKalb-e-husain Nadir

    ruuh tanhā ga.ī jannat ko subuk-sārī se

    chaar ke kāñdhe uThā jism girāñbārī se

    taaq tāqat hai ġham-e-hijr bīmārī se

    baiThte uThte haiñ aahoñ madad-gārī se

    husn-e-ruḳhsār baḌhā ḳhat numūdārī se

    zīnat-e-saf.ha huī jadval-e-zañgārī se

    jo talvār se nahlā.e lahū meñ mujh ko

    ġhusl-e-sehhat huā bhī ishq bīmārī se

    aur to tark kiyā sab ne shab-e-furqat meñ

    bekasī baaz na aa.ī mirī ġham-ḳhvārī se

    ruh tanha gai jannat ko subuk-sari se

    chaar ke kandhe uTha jism giranbari se

    taq taqat hai gham-e-hijr ki bimari se

    baiThte uThte hain aahon ki madad-gari se

    husn-e-ruKHsar baDha KHat ki numudari se

    zinat-e-safha hui jadwal-e-zangari se

    tu jo talwar se nahlae lahu mein mujh ko

    ghusl-e-sehhat hua bhi ishq ki bimari se

    aur to tark kiya sab ne shab-e-furqat mein

    bekasi baz na aai meri gham-KHwari se

    Source:

    Intikhab-e-Sukhan(Volume-009) (Pg. e-251 p-250)

      • Edition: 1983
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now