ruTh jaane ki aadaten na gain
ruuTh jaane kÄ« ÄdateƱ na ga.iiƱ
dil jalÄne kÄ« ÄdateƱ na ga.iiƱ
zaįø³hm khÄ kar bhÄ« tujh se naam tirÄ
gungunÄne kÄ« ÄdateƱ na ga.iiƱ
pyaar se jo bhÄ« mil gayÄ us ko
dukh sunÄne kÄ« ÄdateƱ na ga.iiƱ
chÄƱd kÄ« sharm se naqÄboƱ meƱ
muƱh chhupÄne kÄ« ÄdateƱ na ga.iiƱ
do diloƱ ko ujaaįø ke haƱsnÄ
na zamÄne kÄ« ÄdateƱ na ga.iiƱ
chÄƱd jaisÄ har ik hasīƱ chehra
dil ko bhÄne kÄ« ÄdateƱ na ga.iiƱ
bÄ«siyoƱ baar aazmÄ ke hameƱ
ÄzmÄne kÄ« ÄdateƱ na ga.iiƱ
raat ke pichhle pahar ai 'ayyÄz'
ghar ko aane kÄ« ÄdateƱ na ga.iiƱ
ruTh jaane ki aadaten na gain
dil jalane ki aadaten na gain
zaKHm kha kar bhi tujh se nam tera
gungunane ki aadaten na gain
pyar se jo bhi mil gaya us ko
dukh sunane ki aadaten na gain
chand ki sharm se naqabon mein
munh chhupane ki aadaten na gain
do dilon ko ujaD ke hansna
na zamane ki aadaten na gain
chand jaisa har ek hasin chehra
dil ko bhane ki aadaten na gain
bisiyon bar aazma ke hamein
aazmane ki aadaten na gain
raat ke pichhle pahar ai 'ayyaz'
ghar ko aane ki aadaten na gain
- Book : ارد٠غز٠کا Ł ŲŗŲ±ŲØŪ ŲÆŲ±ŪŚŪ(ŪŁŲ±Ł¾ Ų§ŁŲ± Ų§Ł Ų±ŪŚ©Ū Ś©Ū Ų§Ų±ŲÆŁ ŲŗŲ²Ł Ś©Ų§ Ł¾ŪŁŲ§ Ł Ų¹ŲŖŲØŲ± ŲŖŲ±ŪŁ Ų§ŁŲŖŲ®Ų§ŲØ) (Pg. 588)
- Publication : کتاب Ų³Ų±Ų§Ų¦Ū ŲØŪŲŖ Ų§ŁŲک٠ت ŁŲ§ŪŁŲ± کا Ų§Ų“Ų§Ų¹ŲŖŪ Ų§ŲÆŲ§Ų±Ū
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.