Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruThe hue lamhon ne kaisa bojh utara kamre se

Shaziya Akbar

ruThe hue lamhon ne kaisa bojh utara kamre se

Shaziya Akbar

MORE BYShaziya Akbar

    rūThe hue lamhoñ ne kaisā bojh utārā kamre se

    us ham se naatā TuuTā aur hamārā kamre se

    ik ik shai meñ us ke lams garmī ye matlab hai

    abhī talak vo gayā nahīñ saare saarā kamre se

    barsoñ baa'd bhī ik sargoshī dīvāroñ meñ zinda thī

    milā thā us ke baa'd bhī ham ko ek sahārā kamre se

    ga.e dinoñ baat hai jab shahzādī ḳhushbū hotī thī

    ik ḳhushbū ne haath pakaḌ kar use guzāra kamre se

    ek ajab sīlan thī jis meñ roz mirā dam ghuTtā thā

    hijr sūraj mat le jaanā yaar ḳhudārā kamre se

    bahut dinoñ se us ne phuul nahīñ bheje to tang aa kar

    shīshe gul-dān bhī gir ke aaj pukārā kamre se

    ruThe hue lamhon ne kaisa bojh utara kamre se

    us ka hum se nata TuTa aur hamara kamre se

    ek ek shai mein us ke lams ki garmi ka ye matlab hai

    abhi talak wo gaya nahin sare ka sara kamre se

    barson ba'd bhi ek sargoshi diwaron mein zinda thi

    mila tha us ke ba'd bhi hum ko ek sahaara kamre se

    gae dinon ki baat hai jab shahzadi KHushbu hoti thi

    ek KHushbu ne hath pakaD kar use guzara kamre se

    ek ajab silan thi jis mein roz mera dam ghuTta tha

    hijr ka suraj mat le jaana yar KHudara kamre se

    bahut dinon se us ne phul nahin bheje to tang aa kar

    shishe ka gul-dan bhi gir ke aaj pukara kamre se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now