saadat chhoDni hogi rifaqat chhoDni hogi
sa'ādat chhoḌnī hogī rifāqat chhoḌnī hogī
vo ik but hai to phir us kī 'ibādat chhoḌnī hogī
ki ab jab rābta hī kuchh nahīñ ham meñ to dikhne par
hameñ ye muskurā dene ki fitrat chhoḌnī hogī
maiñ jo barbād huuñ jānāñ ġhalat sohbat hī se to huuñ
to samjho nā tumheñ bhī merī sohbat chhoḌnī hogī
maiñ 'gulshan' huuñ so mujh pe farz hai har gul ki rā'nā.ī
faqat ik rāt-rānī hī ki ḳhidmat chhoḌnī hogī
sa'adat chhoDni hogi rifaqat chhoDni hogi
wo ek but hai to phir us ki 'ibaadat chhoDni hogi
ki ab jab rabta hi kuchh nahin hum mein to dikhne par
hamein ye muskura dene ki fitrat chhoDni hogi
main jo barbaad hun jaanan ghalat sohbat hi se to hun
to samjho na tumhein bhi meri sohbat chhoDni hogi
main 'gulshan' hun so mujh pe farz hai har gul ki ra'nai
faqat ek raat-rani hi ki KHidmat chhoDni hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.