saf ruKH par jama ghubar karo
saaf ruḳh par jamā ġhubār karo
aa.ine ko na sangsār karo
lutf detī nahīñ adhūrī baat
tiir maaro to dil ke paar karo
na bano dushmanī ke saudāgar
dostī kā bhī kārobār karo
bhuul jaa.e vo apne aap ko bhī
yuuñ kisī ko na be-qarār karo
hausle kho ga.e na jaane kahāñ
ab na zikr-e-salīb-o-dār karo
ab to 'ġhaibī' kā mashvara hai yahī
dushmanoñ par bhī e'tibār karo
saf ruKH par jama ghubar karo
aaine ko na sangsar karo
lutf deti nahin adhuri baat
tir maro to dil ke par karo
na bano dushmani ke saudagar
dosti ka bhi karobar karo
bhul jae wo apne aap ko bhi
yun kisi ko na be-qarar karo
hausle kho gae na jaane kahan
ab na zikr-e-salib-o-dar karo
ab to 'ghaibi' ka mashwara hai yahi
dushmanon par bhi e'tibar karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.