Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saghar-e-dil kaif-o-masti se labaalab bhar gaya

Rishi Patialvi

saghar-e-dil kaif-o-masti se labaalab bhar gaya

Rishi Patialvi

MORE BYRishi Patialvi

    sāġhar-e-dil kaif-o-mastī se labālab bhar gayā

    kis e.ajāz-e-nazar sarshār o be-ḳhud kar gayā

    un ke dāman se huī kuchh is qadar vābastagī

    ġhuncha-e-dil khil gayā phūloñ se dāman bhar gayā

    ham ta.āqub bhī na kar paa.e kahāñ ham-rahī

    gard aa.ī nazar jis raah se rahbar gayā

    be-ḳhatā hone pe bhī ilzām apne sar rahe

    kaun jaane jaur ilzām kis ke sar gayā

    ḳhauf kuchh aisā baḌhāyā zulmat-e-ehsās ne

    aur to aur aksar apne saa.e se dil Dar gayā

    munhasir zauq-e-nazar par hai nazāroñ bisāt

    jis taraf uTThī nigāheñ us taraf manzar gayā

    us ke naqsh-o-aks parchhā.iyāñ dekhā kiye

    toḌ kar rishte diloñ ke jo kinārā kar gayā

    zo'm thā jis ko 'rishī' husn-e-adā-e-nāz par

    aa.ina dekhā to apnī nazar se Dar gayā

    saghar-e-dil kaif-o-masti se labaalab bhar gaya

    kis ka eajaz-e-nazar sarshaar o be-KHud kar gaya

    un ke daman se hui kuchh is qadar wabastagi

    ghuncha-e-dil khil gaya phulon se daman bhar gaya

    hum taaqub bhi na kar pae kahan ki ham-rahi

    gard hi aai nazar jis rah se rahbar gaya

    be-KHata hone pe bhi ilzam apne sar rahe

    kaun jaane jaur ka ilzam kis ke sar gaya

    KHauf kuchh aisa baDhaya zulmat-e-ehsas ne

    aur to aur aksar apne sae se dil Dar gaya

    munhasir zauq-e-nazar par hai nazaron ki bisat

    jis taraf uTThi nigahen us taraf manzar gaya

    us ke naqsh-o-aks ki parchhaiyan dekha kiye

    toD kar rishte dilon ke jo kinara kar gaya

    zo'm tha jis ko 'rishi' husn-e-ada-e-naz par

    aaina dekha to apni hi nazar se Dar gaya

    Source:

    Shafaq Rang Aansu (Pg. 243)

    • Author: Rishi Patialvi
      • Publisher: Jamal Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now