aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saghar-e-sifalin ko jam-e-jam banaya hai

Parvez Shahidi

saghar-e-sifalin ko jam-e-jam banaya hai

Parvez Shahidi

MORE BYParvez Shahidi

    sāġhar-e-sifālīñ ko jām-e-jam banāyā hai

    phail kar mire dil ne ''maiñ'' ko ''ham'' banāyā hai

    ham-safar banāyā hai ham-qadam banāyā hai

    vaqt ne mujhe kitnā mohtaram banāyā hai

    naaz hai ḳhalīlī ko husn-e-naqsh-e-sānī par

    garche āzarī ne ye sanam banāyā hai

    be-kasī-e-dil apnī duur hai yuuñ maiñ ne

    dūsroñ ke ġham ko bhī apnā ġham banāyā hai

    zindagī mausīqī kyā hai ham samajhte haiñ

    saaz ke talavvun ko zer-o-bam banāyā hai

    zulf tarah is ko bas sañvārte rahiye

    zindagī ko fitrat ne ḳham-ba-ḳham banāyā hai

    maiñ ne zarre zarre ko muskurāhaTeñ haiñ

    tum ne har sitāre ko chashm-e-nam banāyā hai

    mudda.ī-e-jiddat hai terī fikr ai zāhid!

    mai-kade īñToñ se kyuuñ iram banāyā hai

    but hazāroñ toḌe haiñ kitne TukḌe joḌe haiñ

    zindagī ne jab kar ik sanam banāyā hai

    saghar-e-sifalin ko jam-e-jam banaya hai

    phail kar mere dil ne main ko ham banaya hai

    ham-safar banaya hai ham-qadam banaya hai

    waqt ne mujhe kitna mohtaram banaya hai

    naz hai KHalili ko husn-e-naqsh-e-sani par

    garche aazari hi ne ye sanam banaya hai

    be-kasi-e-dil apni dur ki hai yun main ne

    dusron ke gham ko bhi apna gham banaya hai

    zindagi ki mausiqi kya hai hum samajhte hain

    saz ke talawwun ko zer-o-bam banaya hai

    zulf ki tarah is ko bas sanwarte rahiye

    zindagi ko fitrat ne KHam-ba-KHam banaya hai

    main ne zarre zarre ko muskurahaTen di hain

    tum ne har sitare ko chashm-e-nam banaya hai

    muddai-e-jiddat hai teri fikr ai zahid!

    mai-kade ki inTon se kyun iram banaya hai

    but hazaron toDe hain kitne TukDe joDe hain

    zindagi ne jab ja kar ek sanam banaya hai

    Source:

    Bhasha Sangam (Quterly Patna) (Pg. 231)

    • Author: B. Pradhan,Managing Editor Imteyaz Ahmad Karimi
      • Edition: July2014 to March 2015,Issue No.1,4,3,Vol. 21
      • Publisher: Urdu Directorate Flate No. 202, C Block, Afirs Hotle, Beli Road, Patna
      • Year of Publication: July2014 to March 2015,Issue No.1,4,3,Vol. 21
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now