saghar mein ek phul khila hai
sāġhar meñ ik phuul khilā hai
saarā jangal mahak uThā hai
Tahnī Tahnī suukh chalī hai
pattā pattā ḳhushk huā hai
har-sū tanhā.ī kā 'ālam
har koī tanhā tanhā hai
shahr kī saḌkeñ to ThanDī haiñ
lekin merā dil jaltā hai
kaisī dahshat phail ga.ī hai
insāñ insāñ se Dartā hai
jangal gulshan nadiyā tūfāñ
ham ne bhī kyā kyā dekhā hai
sone jaise khet khaḌe the
be-mausam bādal barsā hai
saghar mein ek phul khila hai
sara jangal mahak uTha hai
Tahni Tahni sukh chali hai
patta patta KHushk hua hai
har-su tanhai ka 'alam
har koi tanha tanha hai
shahr ki saDken to ThanDi hain
lekin mera dil jalta hai
kaisi dahshat phail gai hai
insan insan se Darta hai
jangal gulshan nadiya tufan
hum ne bhi kya kya dekha hai
sone jaise khet khaDe the
be-mausam baadal barsa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.