Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahib-e-ishq ab itni si to rahat mujhe de

Farhat Ehsas

sahib-e-ishq ab itni si to rahat mujhe de

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    sāhib-e-ishq ab itnī to rāhat mujhe de

    ghar banā dar-o-dīvār se ruḳhsat mujhe de

    jaan ye sarkashī-e-jism tire bas nahīñ

    merī āġhosh meñ aa ye musībat mujhe de

    to farāham na ho mujh ko ye hai marzī terī

    tujh ko jab chāhūñ bulā luuñ ye ijāzat mujhe de

    ye tirī bazm-e-badan yuuñ to nahīñ chal saktī

    ek shab ko sahī is nizāmat mujhe de

    ā.ine! maiñ tirā ā.īna-dar-ā.īna huuñ

    aaj tak mirā sarmāya-e-hairat mujhe de

    na milegā tujhe mujh bhī tahī-dast murīd

    mere hisse jo ho daulat-e-bai.at mujhe de

    jaane kab hogā mirī zaat pe āp-apnā nuzūl

    ḳhvāb koī to kabhī merī bashārat mujhe de

    mere bhī ek ishāre meñ ho ma.anī hujūm

    aañkh us jo kabhī dars-e-balāġhat mujhe de

    'farhat-ullāh' ke khāte meñ na Daal ā.īñe

    'farhat-ehsās' huuñ maiñ mirī sūrat mujhe de

    sahib-e-ishq ab itni si to rahat mujhe de

    ghar bana ya dar-o-diwar se ruKHsat mujhe de

    jaan ye sarkashi-e-jism tere bas ki nahin

    meri aaghosh mein aa la ye musibat mujhe de

    to faraham na ho mujh ko ye hai marzi teri

    tujh ko jab chahun bula lun ye ijazat mujhe de

    ye teri bazm-e-badan yun to nahin chal sakti

    ek shab ko hi sahi is ki nizamat mujhe de

    aaine! main tera aaina-dar-aina hun

    aaj tak ka mera sarmaya-e-hairat mujhe de

    na milega tujhe mujh sa bhi tahi-dast murid

    mere hisse ki jo ho daulat-e-baiat mujhe de

    jaane kab hoga meri zat pe aap-apna nuzul

    KHwab koi to kabhi meri bashaarat mujhe de

    mere bhi ek ishaare mein ho mani ka hujum

    aankh us ki jo kabhi dars-e-balaghat mujhe de

    'farhat-ullah' ke khate mein na Dal aaine

    'farhat-ehsas' hun main la meri surat mujhe de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now