Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahilon ki KHamushi ne jab fasurda kar diya

Krishn Adeeb

sahilon ki KHamushi ne jab fasurda kar diya

Krishn Adeeb

MORE BYKrishn Adeeb

    sāhiloñ ḳhāmushī ne jab fasurda kar diyā

    ḳhvāhishoñ kashtiyoñ ko ġharq-e-dariyā kar diyā

    jism kyā thā lazzatoñ ek dariyā thā kabhī

    har kisī ne ke jis ko aaj sahrā kar diyā

    aaj baiThe tak rahe haiñ umr ḳhālī gilās

    mausamoñ mai-kada ye kis ne suunā kar diyā

    maiñ barahna jism us oḌh kar phirtā rahā

    jāma-poshī ke junūñ ne mujh ko nañgā kar diyā

    thā yaqīnan dostoñ saf meñ ik dushman mirā

    be ḳhabar kar achānak jis ne hamla kar diyā

    soch saarī basīrat chhīnñe vaale batā

    to sūraj thā mirā kyuuñ mujh ko andhā kar diyā

    vo jo kal tak māñgte the mujh se qad merā 'adīb'

    sher ke nāqid ne un ko mujh se ūñchā kar diyā

    sahilon ki KHamushi ne jab fasurda kar diya

    KHwahishon ki kashtiyon ko gharq-e-dariya kar diya

    jism kya tha lazzaton ka ek dariya tha kabhi

    har kisi ne pi ke jis ko aaj sahra kar diya

    aaj baiThe tak rahe hain umr ka KHali gilas

    mausamon ka mai-kada ye kis ne suna kar diya

    main barahna jism us ka oDh kar phirta raha

    jama-poshi ke junun ne mujh ko nanga kar diya

    tha yaqinan doston ki saf mein ek dushman mera

    be KHabar pa kar achanak jis ne hamla kar diya

    soch ki sari basirat chhinne wale bata

    tu to suraj tha mera kyun mujh ko andha kar diya

    wo jo kal tak mangte the mujh se qad mera 'adib'

    sher ke naqid ne un ko mujh se uncha kar diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now