Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

salim yaqin-e-azmat-e-sehr-e-KHuda na toD

Salim Shuja Ansari

salim yaqin-e-azmat-e-sehr-e-KHuda na toD

Salim Shuja Ansari

MORE BYSalim Shuja Ansari

    sālim yaqīn-e-azmat-e-sehr-e-ḳhudā na toḌ

    māyūs ho ke kāsa-e-dast-e-duā na toḌ

    shīrāza-e-hayāt bikhar jā.egā mirā

    ai sañg-zād shīsha-e-ahd-e-vafā na toḌ

    kuchh aur hone de rah-e-manzil ko tez-gām

    ai ḳhizr abhī mirī zanjīr-e-pā na toḌ

    teshe zarb sah nahīñ saktā har ik vajūd

    aazar har ek paikar-e-sañg-e-anā na toḌ

    chehre silvaToñ sabab aa.ina nahīñ

    nāchārgī-e-umr-e-ruḳh-e-ā.ina na toḌ

    is mutrib-e-hayāt meñ zinda hai rāgnī

    ruk mutriba abhī ye sāz-e-sadā na toḌ

    bedār ho na jaa.eñ badan zarūrateñ

    ai shauq-e-be-panāh fasīl-e-hayā na toḌ

    'sālim'-shujā.a maut hai aarzū harām

    ā.īna-e-hayāt ko yuuñ be-ḳhatā na toḌ

    salim yaqin-e-azmat-e-sehr-e-KHuda na toD

    mayus ho ke kasa-e-dast-e-dua na toD

    shiraaza-e-hayat bikhar jaega mera

    ai sang-zad shisha-e-ahd-e-wafa na toD

    kuchh aur hone de rah-e-manzil ko tez-gam

    ai KHizr tu abhi meri zanjir-e-pa na toD

    teshe ki zarb sah nahin sakta har ek wajud

    aazar har ek paikar-e-sang-e-ana na toD

    chehre ki silwaTon ka sabab aaina nahin

    nachaargi-e-umr-e-ruKH-e-aina na toD

    is mutrib-e-hayat mein zinda hai ragni

    ruk mutriba abhi tu ye saz-e-sada na toD

    bedar ho na jaen badan ki zaruraten

    ai shauq-e-be-panah fasil-e-haya na toD

    'salim'-shujaa maut ki hai aarzu haram

    aaina-e-hayat ko yun be-KHata na toD

    Source:

    Ghubar-e-Fikr (Pg. 34)

    • Author: Salim Shuja Ansari
      • Edition: 2014
      • Publisher: Mishkat Printers, Aligarh
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now