saman-e-tijarat mera iman nahin hai
sāmān-e-tijārat mirā īmān nahīñ hai
har dar pe jhuke sar ye mirī shaan nahīñ hai
har lafz ko siine meñ basā lo to bane baat
tāqoñ meñ sajāne ko ye qur.ān nahīñ hai
allāh mire rizq kī barkat na chalī jaa.e
do roz se ghar meñ koī mehmān nahīñ hai
ham ne to banā.e haiñ samundar meñ bhī raste
yuuñ ham ko miTānā koī āsān nahīñ hai
vo jis ko buzurgoñ kī rivāyat na rahe yaad
us shaḳhs kī logo koī pahchān nahīñ hai
do chaar umīdoñ ke diye ab bhī haiñ raushan
maazī kī havelī abhī vīrān nahīñ hai
phūloñ kī jagah jalte hue lafz saje haiñ
ab mez pe aḳhbār haiñ guldān nahīñ hai
'mājid' hai mirā she'r mere 'ahd kī tasvīr
'ġhālib' kī ġhazal 'mīr' kā dīvān nahīñ hai
saman-e-tijarat mera iman nahin hai
har dar pe jhuke sar ye meri shan nahin hai
har lafz ko sine mein basa lo to bane baat
taqon mein sajaane ko ye quran nahin hai
allah mere rizq ki barkat na chali jae
do roz se ghar mein koi mehman nahin hai
hum ne to banae hain samundar mein bhi raste
yun hum ko miTana koi aasan nahin hai
wo jis ko buzurgon ki riwayat na rahe yaad
us shaKHs ki logo koi pahchan nahin hai
do chaar umidon ke diye ab bhi hain raushan
mazi ki haweli abhi viran nahin hai
phulon ki jagah jalte hue lafz saje hain
ab mez pe aKHbar hain guldan nahin hai
'majid' hai mera she'r mere 'ahd ki taswir
'ghaalib' ki ghazal 'mir' ka diwan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.