Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saman sad hazar hain tu jag to sahi

Akhtar Ziai

saman sad hazar hain tu jag to sahi

Akhtar Ziai

MORE BYAkhtar Ziai

    sāmān sad hazār haiñ jaag to sahī

    sab vaqf-e-intizār haiñ jaag to sahī

    ġhāfil nazar uThā ki vo āsār-e-sub.h-e-nau

    gardūñ pe āshkār haiñ jaag to sahī

    auqāt terī quvvat-e-bāzū pe munhasir

    lamhāt sāzgār haiñ jaag to sahī

    terā yaqīn terā amal tere valvale

    hastī e'tibār haiñ jaag to sahī

    o mahv-e-ḳhvāb dīda-e-bīnā ke vāste

    ḳhud jalve be-qarār haiñ jaag to sahī

    be-barg be-libās daraḳhtoñ Tahniyāñ

    paiġhām-e-nau-bahār haiñ jaag to sahī

    'aḳhtar'-ziyā.ī niiñd ke mātoñ ke shahr meñ

    kuchh log hoshiyār haiñ jaag to sahī

    saman sad hazar hain tu jag to sahi

    sab waqf-e-intizar hain tu jag to sahi

    ghafil nazar uTha ki wo aasar-e-subh-e-nau

    gardun pe aashkar hain tu jag to sahi

    auqat teri quwwat-e-bazu pe munhasir

    lamhat sazgar hain tu jag to sahi

    tera yaqin tera amal tere walwale

    hasti ka e'tibar hain tu jag to sahi

    o mahw-e-KHwab dida-e-bina ke waste

    KHud jalwe be-qarar hain tu jag to sahi

    be-barg be-libas daraKHton ki Tahniyan

    paigham-e-nau-bahaar hain tu jag to sahi

    'aKHtar'-ziyai nind ke maton ke shahr mein

    kuchh log hoshiyar hain tu jag to sahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now