Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samna hai nigah-e-qatil ka

Nawab Umrao Bahadur Diler

samna hai nigah-e-qatil ka

Nawab Umrao Bahadur Diler

MORE BYNawab Umrao Bahadur Diler

    sāmnā hai nigāh-e-qātil

    dekhnā hausla mire dil

    haa.e kahnā adā se qātil

    ham ko dikhlāo raqs bismil

    chale muñh pher kar vo maqtal se

    haal dekhā gayā na bismil

    josh-e-vahshat meñ terā dīvāna

    kyoñ na mushtāq ho salāsil

    khīñch kar un ko mere ghar laayā

    asar āḳhir ko jazb-e-kāmil

    shaiḳh ḳhāmosh ho ḳhudā ke liye

    zikr rindoñ meñ kyā masā.il

    kaash vo chuTkiyāñ leñ aa kar

    mashġhala kuchh to ho dukhe dil

    bosa de Daalo husn ḳhairāt

    rad na kiije savāl saa.il

    ai sabā kar bhī qais par ehsān

    parda uThā de mahmil

    shak thā miTTī na ho āshiq ke

    itr kyūñkar vo sūñghte gul

    naza.a meñ bhī 'diler' aa.e na vo

    rah gayā dil meñ hausla dil

    samna hai nigah-e-qatil ka

    dekhna hausla mere dil ka

    hae kahna ada se qatil ka

    hum ko dikhlao raqs bismil ka

    chale munh pher kar wo maqtal se

    haal dekha gaya na bismil ka

    josh-e-wahshat mein tera diwana

    kyon na mushtaq ho salasil ka

    khinch kar un ko mere ghar laya

    asar aaKHir ko jazb-e-kaamil ka

    shaiKH KHamosh ho KHuda ke liye

    zikr rindon mein kya masail ka

    kash wo chuTkiyan hi len aa kar

    mashghala kuchh to ho dukhe dil ka

    bosa de Dalo husn ki KHairaat

    rad na kije sawal sail ka

    ai saba kar bhi qais par ehsan

    tu hi parda uTha de mahmil ka

    shak tha miTTi ka na ho aashiq ke

    itr kyunkar wo sunghte gul ka

    naza mein bhi 'diler' aae na wo

    rah gaya dil mein hausla dil ka

    Source:

    (Pg. 14)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now