Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samne aaina tha masti thi

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

samne aaina tha masti thi

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

MORE BYMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

    sāmne aa.ina thā mastī thī

    un par ik shān-e-ḳhud-parastī thī

    mujh ko ka.abe meñ bhī hamesha shaiḳh

    yād-e-ayyām-e-but-parastī thī

    sirf dil nahīñ jalā merā

    zarre zarre meñ us ke bastī thī

    kyuuñ zuleḳhā tirī adālat meñ

    husn jins aisī sastī thī

    sūjhtā thā na intizār meñ kuchh

    dekhne ko nigah tarastī thī

    dekhne ham ga.e the qabr-e-'azīz'

    haa.e kyā bekasī barastī thī

    samne aaina tha masti thi

    un par ek shan-e-KHud-parasti thi

    mujh ko kabe mein bhi hamesha shaiKH

    yaad-e-ayyam-e-but-parasti thi

    sirf dil hi nahin jala mera

    zarre zarre mein us ke basti thi

    kyun zuleKHa teri adalat mein

    husn ki jins aisi sasti thi

    sujhta tha na intizar mein kuchh

    dekhne ko nigah tarasti thi

    dekhne hum gae the qabr-e-'aziz'

    hae kya bekasi barasti thi

    Source:

    Gulkadah(Majmua-e-Ghazliyat) (Pg. e-126 p-98)

    • Author: Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
      • Edition: 1936
      • Publisher: Siddique Book Depot, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now