Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samne aankhon ke ghar ka ghar bane aur TuT jae

Ganesh Bihari Tarz

samne aankhon ke ghar ka ghar bane aur TuT jae

Ganesh Bihari Tarz

MORE BYGanesh Bihari Tarz

    sāmne āñkhoñ ke ghar ghar bane aur TuuT jaa.e

    kyā kare vo jis dil patthar bane aur TuuT jaa.e

    haa.e re un ke fareb-e-vāda-e-fardā jaal

    dekhte dekhte ik dar bane aur TuuT jaa.e

    hādsoñ Thokaroñ se chuur honā hai to phir

    kyuuñ na ḳhāmoshī se dil sāġhar bane aur TuuT jaa.e

    ham bhī le leñ lutf-e-tīr-e-nīm-kash gar vo nazar

    aate aate qalb tak ḳhanjar bane aur TuuT jaa.e

    un ke dāman havā bhī kis ko hotī hai nasīb

    aaj har aañsū mirā gauhar bane aur TuuT jaa.e

    yuuñ bikhartā rahā ai 'tarz' har sapnā mirā

    sub.h jaise ḳhvāb manzar bane aur TuuT jaa.e

    samne aankhon ke ghar ka ghar bane aur TuT jae

    kya kare wo jis ka dil patthar bane aur TuT jae

    hae re un ke fareb-e-wada-e-farda ka jal

    dekhte hi dekhte ek dar bane aur TuT jae

    hadson ki Thokaron se chur hona hai to phir

    kyun na KHamoshi se dil saghar bane aur TuT jae

    hum bhi le len lutf-e-tir-e-nim-kash gar wo nazar

    aate aate qalb tak KHanjar bane aur TuT jae

    un ke daman ki hawa bhi kis ko hoti hai nasib

    aaj har aansu mera gauhar bane aur TuT jae

    yun bikharta hi raha ai 'tarz' har sapna mera

    subh jaise KHwab ka manzar bane aur TuT jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now