samne jab hai aaina hota
sāmne jab hai aa.ina hotā
har burā mujh se hai bhalā hotā
aadmī gar ḳhudā nahīñ to kyā
aadmī meñ to hai ḳhudā hotā
aap apnā savāb hai nekī
jurm az-ḳhud hī hai sazā hotā
kaun kashtī Dubo sake us kī
nāḳhudā jis kā hai ḳhudā hotā
vo hī mujrim haiñ vo hī munsif bhī
dekhiye kyā hai faisla hotā
vaqt achchhā burā banātā hai
kokh se kaun hai burā hotā
ḳhud ko hargiz baḌā nahīñ kahtā
jo haqīqat meñ hai baḌā hotā
phūñk dī ruuh rab ne varna 'sadā'
tū bhī miTTī kā Thīkrā hotā
samne jab hai aaina hota
har bura mujh se hai bhala hota
aadmi gar KHuda nahin to kya
aadmi mein to hai KHuda hota
aap apna sawab hai neki
jurm az-KHud hi hai saza hota
kaun kashti Dubo sake us ki
naKHuda jis ka hai KHuda hota
wo hi mujrim hain wo hi munsif bhi
dekhiye kya hai faisla hota
waqt achchha bura banata hai
kokh se kaun hai bura hota
KHud ko hargiz baDa nahin kahta
jo haqiqat mein hai baDa hota
phunk di ruh rab ne warna 'sada'
tu bhi miTTi ka Thikra hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.