Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samne koi bhi manzar na saman hota hai

Jauhar Balliawi

samne koi bhi manzar na saman hota hai

Jauhar Balliawi

MORE BYJauhar Balliawi

    sāmne koī bhī manzar na samāñ hotā hai

    dil sulagtā hai to āñkhoñ meñ dhuāñ hotā hai

    jaane kis shahr dhartī pe qadam hai apnā

    apne hone pe na hone gumāñ hotā hai

    zindagī shahd se shīrīñ hai to zahrāb bhī hai

    is ehsās magar sab ko kahāñ hotā hai

    kabhī ḳhurshīd pe hotā hai gumāñ zarre

    koī zarra kabhī ḳhurshīd-nishāñ hotā hai

    jāda-e-fahm-o-farāsat meñ bhī milte haiñ sarāb

    har yaqīñ manzil-e-sad-vahm-o-gumāñ hotā hai

    pattharoñ se hai shikāyat na to rāhoñ se gila

    Thokareñ khā ke mirā azm javāñ hotā hai

    dil kuchh is taur hai mānūs ġham-e-hastī se

    aish is pe tasavvur bhī girāñ hotā hai

    merā maazī hai sulagte hue sahrā tarah

    sail-e-ashk āñkhoñ se yuuñ na ravāñ hotā hai

    choT jab paḌtī hai fankār ke dil par 'jauhar'

    dard sūrat-gar-e-iz.hār-e-bayāñ hotā hai

    samne koi bhi manzar na saman hota hai

    dil sulagta hai to aankhon mein dhuan hota hai

    jaane kis shahr ki dharti pe qadam hai apna

    apne hone pe na hone ka guman hota hai

    zindagi shahd se shirin hai to zahrab bhi hai

    is ka ehsas magar sab ko kahan hota hai

    kabhi KHurshid pe hota hai guman zarre ka

    koi zarra kabhi KHurshid-nishan hota hai

    jada-e-fahm-o-farasat mein bhi milte hain sarab

    har yaqin manzil-e-sad-wahm-o-guman hota hai

    pattharon se hai shikayat na to rahon se gila

    Thokaren kha ke mera azm jawan hota hai

    dil kuchh is taur hai manus gham-e-hasti se

    aish ka is pe tasawwur bhi giran hota hai

    mera mazi hai sulagte hue sahra ki tarah

    sail-e-ashk aankhon se yun hi na rawan hota hai

    choT jab paDti hai fankar ke dil par 'jauhar'

    dard surat-gar-e-izhaar-e-bayan hota hai

    Source:

    Nishat-e-Dard (Pg. 70)

    • Author: Jauhar Balliawi
      • Publisher: Gulrez Publication, Jamshedpur
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now