Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samne un ko paya to hum kho gae aaj phir hasrat-e-guftugu rah gai

Saba Afghani

samne un ko paya to hum kho gae aaj phir hasrat-e-guftugu rah gai

Saba Afghani

MORE BYSaba Afghani

    sāmne un ko paayā to ham kho ga.e aaj phir hasrat-e-guftugū rah ga.ī

    un se kahnā thā rūdād-e-shām-e-alam dil dil meñ ye aarzū rah ga.ī

    ġham ke sāñche meñ ik ik nafas Dhal gayā un mahfil meñ ye daur bhī chal gayā

    ashk piine se maanā ki dil jal gayā zabt-e-ġham magar aabrū rah ga.ī

    tere naqsh-e-qadam bhī mile jā-ba-jā terī mahfil tirā āstāñ bhī milā

    haañ magar kisī ko nahīñ mil sakā ho ke nākām har justujū rah ga.ī

    dil meñ dāġhoñ jab se hai ik gulsitāñ chhin ga.ī haiñ bahāroñ se rangīniyāñ

    ab guloñ meñ vo pahlī nik.hat kahāñ 'ārzī raunaq-e-rañg-o-bū rah ga.ī

    naaz thā ham ko jin par unhīñ qasam vo bhī ulfat meñ nikle na sābit-qadam

    be-kasī ke añdhere meñ ai shām-e-ġham ek ham rah ga.e ek rah ga.ī

    allāh allāh tire husn ik jhalak raushnī ho ga.ī az-zamīñ-tā-falak

    ek bijlī lahrā.ī kuchh duur tak phir Thahar kar mire rū-ba-rū rah ga.ī

    aañkh se aañkh aur dil se dil jab milā jaane un nigāhoñ ne kyā kar diyā

    merī āñkhoñ meñ us roz se ai 'sabā' khiñch ke tasvīr-e-jām-o-subū rah ga.ī

    samne un ko paya to hum kho gae aaj phir hasrat-e-guftugu rah gai

    un se kahna tha rudad-e-sham-e-alam dil ki dil hi mein ye aarzu rah gai

    gham ke sanche mein ek ek nafas Dhal gaya un ki mahfil mein ye daur bhi chal gaya

    ashk pine se mana ki dil jal gaya zabt-e-gham ki magar aabru rah gai

    tere naqsh-e-qadam bhi mile ja-ba-ja teri mahfil tera aastan bhi mila

    han magar tu kisi ko nahin mil saka ho ke nakaam har justuju rah gai

    dil mein daghon ka jab se hai ek gulsitan chhin gai hain bahaaron se ranginiyan

    ab gulon mein wo pahli si nikhat kahan 'arzi raunaq-e-rang-o-bu rah gai

    naz tha hum ko jin par unhin ki qasam wo bhi ulfat mein nikle na sabit-qadam

    be-kasi ke andhere mein ai sham-e-gham ek hum rah gae ek tu rah gai

    allah allah tere husn ki ek jhalak raushni ho gai az-zamin-ta-falak

    ek bijli si lahrai kuchh dur tak phir Thahar kar mere ru-ba-ru rah gai

    aankh se aankh aur dil se dil jab mila jaane un ki nigahon ne kya kar diya

    meri aankhon mein us roz se ai 'saba' khinch ke taswir-e-jam-o-subu rah gai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 434)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now