Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saneha jism bebasi hasil

Navin Joshi

saneha jism bebasi hasil

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    sāneha jism bebasī hāsil

    zindagī shor ḳhāmushī hāsil

    ek sahrā se ek dariyā tak

    har masāfat tishnagī hāsil

    guftugū vo tavīl thī jis

    baat ik an-kahī banī hāsil

    bandagī ho ki ishq donoñ

    ik ḳhudā aur be-ḳhudī hāsil

    aks hāsil nahīñ hai shīshe

    na chehre chehragī hāsil

    vaqt se jītne koshish meñ

    ik kalā.ī ko bas ghaḌī hāsil

    kabhī āġhāz koī bantā hai

    kabhī anjām to kabhī hāsil

    dasht-e-bīnā.ī meñ in āñkhoñ

    āḳhirash bas rahī namī hāsil

    saneha jism bebasi hasil

    zindagi shor KHamushi hasil

    ek sahra se ek dariya tak

    har masafat ka tishnagi hasil

    guftugu wo tawil thi jis ka

    baat ek an-kahi bani hasil

    bandagi ho ki ishq donon ka

    ek KHuda aur be-KHudi hasil

    aks hasil nahin hai shishe ka

    na hi chehre ka chehragi hasil

    waqt se jitne ki koshish mein

    ek kalai ko bas ghaDi hasil

    kabhi aaghaz koi banta hai

    kabhi anjam to kabhi hasil

    dasht-e-binai mein in aankhon ka

    aaKHirash bas rahi nami hasil

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now