Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sanp jaise ki kabhi aankh jhapakta hi nahin

Masoodurrahman Masood

sanp jaise ki kabhi aankh jhapakta hi nahin

Masoodurrahman Masood

MORE BYMasoodurrahman Masood

    saañp jaise ki kabhī aañkh jhapaktā nahīñ

    yuuñ koī dard hai siine meñ jo sotā nahīñ

    us se jhagḌūñ bhī to kis baat pe jhagḌūñ āḳhir

    jab mire saath vo hote hue hotā nahīñ

    hijr har shaam bujhī aañkh liye aatā hai

    vasl chāñd kisī chhat pe nikaltā nahīñ

    rābtoñ hai vo fihrist meñ ḳhāmosh kahīñ

    ek number ki jo scrēn pe aatā nahīñ

    turbat-e-zabt meñ yādoñ sileñ dil pe liye

    tere chehre ko nigāhoñ se haTātā nahīñ

    mere a.asāb pe taarī hai mohabbat thakan

    itnī zyāda ki kisī haal meñ rotā nahīñ

    chāñd 'mas.ūd' ḳhalāoñ meñ hai TūTā-phūTā

    is liye maiñ to kabhī iid manātā nahīñ

    sanp jaise ki kabhi aankh jhapakta hi nahin

    yun koi dard hai sine mein jo sota hi nahin

    us se jhagDun bhi to kis baat pe jhagDun aaKHir

    jab mere sath wo hote hue hota hi nahin

    hijr har sham bujhi aankh liye aata hai

    wasl ka chand kisi chhat pe nikalta hi nahin

    rabton ki hai wo fihrist mein KHamosh kahin

    ek number ki jo screen pe aata hi nahin

    turbat-e-zabt mein yaadon ki silen dil pe liye

    tere chehre ko nigahon se haTata hi nahin

    mere aasab pe tari hai mohabbat ki thakan

    itni zyaada ki kisi haal mein rota hi nahin

    chand 'masud' KHalaon mein hai TuTa-phuTa

    is liye main to kabhi id manata hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now