aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sans ka jhonka bhi ab tufan hota jaega

Dinesh Kumar Drouna

sans ka jhonka bhi ab tufan hota jaega

Dinesh Kumar Drouna

MORE BYDinesh Kumar Drouna

    saañs jhoñkā bhī ab tūfān hotā jā.egā

    har nafas thoḌā bahut nuqsān hotā jā.egā

    chaap kānoñ se kisī duur jaatī jā.egī

    rafta rafta ye badan be-jān hotā jā.egā

    ajnabī logoñ dil par dhaak baḌhtī jā.egī

    apne ghar meñ koī mehmān hotā jā.egā

    pāsbānoñ ke havāle bastiyāñ hoñgī agar

    jāgne raat bhar elaan hotā jā.egā

    hijr aalam uḌā le jā.egā rañgat kahīñ

    aur samundar suukh kar maidān hotā jā.egā

    raat hone do yahāñ par barhanā.ī chhā.egī

    vo havas meñ dekhnā haivān hotā jā.egā

    sans ka jhonka bhi ab tufan hota jaega

    har nafas thoDa bahut nuqsan hota jaega

    chap kanon se kisi ki dur jati jaegi

    rafta rafta ye badan be-jaan hota jaega

    ajnabi logon ki dil par dhak baDhti jaegi

    apne hi ghar mein koi mehman hota jaega

    pasbanon ke hawale bastiyan hongi agar

    jagne ka raat bhar elan hota jaega

    hijr ka aalam uDa le jaega rangat kahin

    aur samundar sukh kar maidan hota jaega

    raat hone do yahan par barhanai chhaegi

    wo hawas mein dekhna haiwan hota jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now