Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sans un ke mariz-e-hasrat ki ruk ruk ke chalti jati hai

Qamar Jalalvi

sans un ke mariz-e-hasrat ki ruk ruk ke chalti jati hai

Qamar Jalalvi

MORE BYQamar Jalalvi

    saañs un ke marīz-e-hasrat ruk ruk ke chaltī jaatī hai

    māyūs nazar hai dar taraf aur jaan nikaltī jaatī hai

    chehre se saraktī jaatī hai zulf un ḳhvāb ke aalam meñ

    vo haiñ ki abhī tak hosh nahīñ aur shab hai ki Dhaltī jaatī hai

    allāh ḳhabar bijlī ko na ho gulchīñ nigāh-e-bad na paḌe

    jis shāḳh pe tinke rakkhe haiñ vo phūltī-phaltī jaatī hai

    aariz pe numāyāñ ḳhaal hue phir sabza-e-ḳhat āġhāz huā

    qur.āñ to haqīqat meñ hai vahī tafsīr badaltī jaatī hai

    tauhīn-e-mohabbat bhī na rahī vo jaur-o-sitam bhī chhūT ga.e

    pahle ba-nisbat husn ab har baat badaltī jaatī hai

    laaj apnī masīhā ne rakh marne na diyā bīmāroñ ko

    jo maut na Talne vaalī thī vo maut bhī Taltī jaatī hai

    hai bazm-e-jahāñ meñ nā-mumkin be-ishq salāmat husn rahe

    parvāne to jal kar ḳhaak hue ab sham.a bhī jaltī jaatī hai

    shikva bhī agar maiñ kartā huuñ to jaur-e-falak kartā huuñ

    be-vaj.h 'qamar' tāroñ nazar kyuuñ mujh se badaltī jaatī hai

    sans un ke mariz-e-hasrat ki ruk ruk ke chalti jati hai

    mayus nazar hai dar ki taraf aur jaan nikalti jati hai

    chehre se sarakti jati hai zulf un ki KHwab ke aalam mein

    wo hain ki abhi tak hosh nahin aur shab hai ki Dhalti jati hai

    allah KHabar bijli ko na ho gulchin ki nigah-e-bad na paDe

    jis shaKH pe tinke rakkhe hain wo phulti-phalti jati hai

    aariz pe numayan KHal hue phir sabza-e-KHat aaghaz hua

    quran to haqiqat mein hai wahi tafsir badalti jati hai

    tauhin-e-mohabbat bhi na rahi wo jaur-o-sitam bhi chhuT gae

    pahle ki ba-nisbat husn ki ab har baat badalti jati hai

    laj apni masiha ne rakh li marne na diya bimaron ko

    jo maut na Talne wali thi wo maut bhi Talti jati hai

    hai bazm-e-jahan mein na-mumkin be-ishq salamat husn rahe

    parwane to jal kar KHak hue ab shama bhi jalti jati hai

    shikwa bhi agar main karta hun to jaur-e-falak ka karta hun

    be-wajh 'qamar' taron ki nazar kyun mujh se badalti jati hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Qamar Jalalvi

    Qamar Jalalvi

    Source:

    Auj-Qamar (Pg. 62)

    • Author: Ustad Sayed Mohd. Hussain Qamar Jalalvi
      • Edition: 1952
      • Publisher: Shaikh Shokat Ali And Sons
      • Year of Publication: 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now