Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sanson ke karwan ki taraf dekhte raho

Ameer Imam

sanson ke karwan ki taraf dekhte raho

Ameer Imam

MORE BYAmeer Imam

    sāñsoñ ke kārvāñ taraf dekhte raho

    is kār-e-rā.egāñ taraf dekhte raho

    taaza bashāratoñ ke utarne vaqt hai

    chup-chāp āsmāñ taraf dekhte raho

    sāhil samt dekhā to sāhil na aa.egā

    maujoñ bādbāñ taraf dekhte raho

    jhapkeñ na ek baar bhī palkeñ ye shart hai

    sahrā-e-raftagāñ taraf dekhte raho

    kyā hai 'ajab ki vo bhī tumheñ dekhne lageñ

    shāhān-e-mah-ruḳhāñ taraf dekhte raho

    ḳhāmosh is jahāñ se guzarnā hai jab tumheñ

    ḳhāmosh is jahāñ taraf dekhte raho

    sanson ke karwan ki taraf dekhte raho

    is kar-e-raegan ki taraf dekhte raho

    taza bashaaraton ke utarne ka waqt hai

    chup-chap aasman ki taraf dekhte raho

    sahil ki samt dekha to sahil na aaega

    maujon ki baadban ki taraf dekhte raho

    jhapken na ek bar bhi palken ye shart hai

    sahra-e-raftagan ki taraf dekhte raho

    kya hai 'ajab ki wo bhi tumhein dekhne lagen

    shahan-e-mah-ruKHan ki taraf dekhte raho

    KHamosh is jahan se guzarna hai jab tumhein

    KHamosh is jahan ki taraf dekhte raho

    Source:

    Subh Bakhair Zindagi (Pg. 46)

    • Author: Ameer Imam
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now