Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sanson ki jal-tarang par naghma-e-ishq gae ja

Ganesh Bihari Tarz

sanson ki jal-tarang par naghma-e-ishq gae ja

Ganesh Bihari Tarz

MORE BYGanesh Bihari Tarz

    sāñsoñ jal-tarañg par naġhma-e-ishq gaa.e

    ai mirī jān-e-ārzū yūñhī muskurā.e

    husn-e-ḳhirām-e-nāz se jaadū na.e jagā.e

    jab bhī jahāñ paḌeñ qadam phuul vahīñ khilā.e

    aag lagā ke hañs kabhī ban ke ghaTā baras kabhī

    bikhrā ke zulf-e-ambarīñ hosh mire uḌaa.e

    barsoñ ke baad āñkhoñ meñ chhalkī hai pyaar sharāb

    band na kar ye mai-kade aise bas pilā.e

    mastī bhī hai samāñ bhī hai mahfil-e-dilbarāñ bhī hai

    aise meñ 'tarz' jhuum kar rañg-e-ġhazal jamā.e

    sanson ki jal-tarang par naghma-e-ishq gae ja

    ai meri jaan-e-arzu tu yunhi muskurae ja

    husn-e-KHiram-e-naz se jadu nae jagae ja

    jab bhi jahan paDen qadam phul wahin khilae ja

    aag laga ke hans kabhi ban ke ghaTa baras kabhi

    bikhra ke zulf-e-ambarin hosh mere uDae ja

    barson ke baad aankhon mein chhalki hai pyar ki sharab

    band na kar ye mai-kade aise hi bas pilae ja

    masti bhi hai saman bhi hai mahfil-e-dilbaran bhi hai

    aise mein 'tarz' jhum kar rang-e-ghazal jamae ja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now