sanson ko pighalne mein abhi waqt lagega
sāñsoñ ko pighalne meñ abhī vaqt lagegā
ye zahr nigalne meñ abhī vaqt lagegā
maiñ sar-phire ḳhvāboñ kī bulandī se girā huuñ
qadmoñ ko sañbhalne meñ abhī vaqt lagegā
ye ḳhvāb mirī niiñd se aage kā safar hai
is ḳhvāb ko palne meñ abhī vaqt lagegā
is shaam meñ simTī huī hai merī kahānī
is shaam ko Dhalne meñ abhī vaqt lagegā
is haal meñ kuchh der abhī jiinā paḌegā
ye haal badalne meñ abhī vaqt lagegā
sanson ko pighalne mein abhi waqt lagega
ye zahr nigalne mein abhi waqt lagega
main sar-phire KHwabon ki bulandi se gira hun
qadmon ko sanbhalne mein abhi waqt lagega
ye KHwab meri nind se aage ka safar hai
is KHwab ko palne mein abhi waqt lagega
is sham mein simTi hui hai meri kahani
is sham ko Dhalne mein abhi waqt lagega
is haal mein kuchh der abhi jina paDega
ye haal badalne mein abhi waqt lagega
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 98)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.