Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saqi-e-gulfam ba-sad ehtimam aa hi gaya

Asrarul Haq Majaz

saqi-e-gulfam ba-sad ehtimam aa hi gaya

Asrarul Haq Majaz

MORE BYAsrarul Haq Majaz

  sāqi-e-gulfām bā-sad ehtimām aa gayā

  naġhma bar lab ḳhum ba sar baada ba jaam aa gayā

  apnī nazroñ meñ nashāt-e-jalva-e-ḳhūbāñ liye

  ḳhalvati-e-ḳhās sū-e-bazm-e-ām aa gayā

  merī duniyā jagmagā uTThī kisī ke nuur se

  mere gardūñ par mirā māh-e-tamām aa gayā

  jhuum jhuum uTThe shajar kaliyoñ ne āñkheñ khol diiñ

  jānib-e-gulshan koī mast-e-ḳhirām aa gayā

  phir kisī ke sāmne chashm-e-tamannā jhuk ga.ī

  shauq shoḳhī meñ rañg-e-ehtarām aa gayā

  merī shab ab merī shab hai merā baada mere jaam

  vo mirā sarv-e-ravāñ māh-e-tamām aa gayā

  bār-hā aisā huā hai yaad tak dil meñ na thī

  bār-hā mastī meñ lab par un naam aa gayā

  zindagī ke ḳhāka-e-sāda ko rañgīñ kar diyā

  husn kaam aa.e na aa.e ishq kaam aa gayā

  khul ga.ī thī saaf gardūñ haqīqat ai 'majāz'

  ḳhairiyat guzrī ki shāhīñ zer-e-dām aa gayā

  saqi-e-gulfam ba-sad ehtimam aa hi gaya

  naghma bar lab KHum ba sar baada ba jam aa hi gaya

  apni nazron mein nashat-e-jalwa-e-KHuban liye

  KHalwati-e-KHas su-e-bazm-e-am aa hi gaya

  meri duniya jagmaga uTThi kisi ke nur se

  mere gardun par mera mah-e-tamam aa hi gaya

  jhum jhum uTThe shajar kaliyon ne aankhen khol din

  jaanib-e-gulshan koi mast-e-KHiram aa hi gaya

  phir kisi ke samne chashm-e-tamanna jhuk gai

  shauq ki shoKHi mein rang-e-ehtaram aa hi gaya

  meri shab ab meri shab hai mera baada mere jam

  wo mera sarw-e-rawan mah-e-tamam aa hi gaya

  bar-ha aisa hua hai yaad tak dil mein na thi

  bar-ha masti mein lab par un ka nam aa hi gaya

  zindagi ke KHaka-e-sada ko rangin kar diya

  husn kaam aae na aae ishq kaam aa hi gaya

  khul gai thi saf gardun ki haqiqat ai 'majaz'

  KHairiyat guzri ki shahin zer-e-dam aa hi gaya

  RECITATIONS

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque,

  Nomaan Shauque

  saqi-e-gulfam ba-sad ehtimam aa hi gaya Nomaan Shauque

  This content features in following collection(s)

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now