Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saqi-o-waiz mein zid hai baada-kash chakkar mein hai

Ahsan Marahravi

saqi-o-waiz mein zid hai baada-kash chakkar mein hai

Ahsan Marahravi

MORE BYAhsan Marahravi

    sāqī-o-vā.iz meñ zid hai bāda-kash chakkar meñ hai

    ba-lab pur aur lab Duubā huā sāġhar meñ hai

    rok le ai zabt jo aañsū ki chashm-e-tar meñ hai

    kuchh nahīñ bigḌā hai ab tak ghar daulat ghar meñ hai

    dab gayā thā mere marne se jo ai mahshar-ḳhirām

    kyā vahī ḳhvābīda-fitna sūrat-e-mahshar meñ hai

    jis ko chāhe jilā de jis ko chāhe maar de

    vo bhī terī baat meñ ye bhī tirī Thokar meñ hai

    dil ke miT jaane se josh-e-ishq ghaT saktā hai kyā

    dil se kyā matlab ki ye saudā to mere sar meñ hai

    māntā hai āstāñ ko tere ka.aba aur kaun

    ye hamārā nishān-e-sajda sañg-e-dar meñ hai

    'ahsan'-e-āvāra-qismat na pūchho gardisheñ

    apne ghar baiThā huā taqdīr ke chakkar meñ hai

    saqi-o-waiz mein zid hai baada-kash chakkar mein hai

    tu ba-lab pur aur lab Duba hua saghar mein hai

    rok le ai zabt jo aansu ki chashm-e-tar mein hai

    kuchh nahin bigDa hai ab tak ghar ki daulat ghar mein hai

    dab gaya tha mere marne se jo ai mahshar-KHiram

    kya wahi KHwabida-fitna surat-e-mahshar mein hai

    jis ko tu chahe jila de jis ko chahe mar de

    wo bhi teri baat mein ye bhi teri Thokar mein hai

    dil ke miT jaane se josh-e-ishq ghaT sakta hai kya

    dil se kya matlab ki ye sauda to mere sar mein hai

    manta hai aastan ko tere kaba aur kaun

    ye hamara hi nishan-e-sajda sang-e-dar mein hai

    'ahsan'-e-awara-qismat ki na puchho gardishen

    apne ghar baiTha hua taqdir ke chakkar mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now