Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saqi wo baat aur hai marzi teri na ho

Hamid Hasan Qadri

saqi wo baat aur hai marzi teri na ho

Hamid Hasan Qadri

MORE BYHamid Hasan Qadri

    saaqī vo baat aur hai marzī tirī na ho

    mumkin nahīñ ki shīshe meñ kuchh bhī bachī na ho

    hālat ḳharāb aisī kisī huī na ho

    iisā bhī aa.eñ to bhī mirī jaañ barī na ho

    siine meñ shor aaj hai kaisā machā huā

    dekho to aarzū koī sar pīTtī na ho

    furqat meñ jaan bachne ummīd to nahīñ

    haañ aur chaar din mirī hālat burī na ho

    tum haath mere siine pe rakkho to naaz se

    mumkin nahīñ ki dard-e-jigar meñ kamī na ho

    kyūñkar banegā aap ke aane se us kaam

    bachne jis ġharīb ke ummīd na ho

    kyā kyā bahak rahā hai ye bātoñ meñ dekhnā

    mujh ko gumān hai kahīñ vaa.iz ne na ho

    girtā na ek din bhī ki jis meñ bajā.e ashk

    āñkhoñ se merī ḳhuun naddī bahī na ho

    vo shoḳh mehrbāñ ho to duniyā ho mehrbāñ

    vo mudda.ā na ho to koī mudda.ī na ho

    dil pherne us se na hargiz karūñ savāl

    zālim ne chashm-e-mehr agar pher na ho

    khāne ke vāste ġham-e-ulfat na ho agar

    is lutf is maze se basar zindagī na ho

    pahlū meñ tum raqīb ke baiTho ḳhudā shaan

    dekho qayāmat aaj kahīñ uTh khaḌī na ho

    dil thaam kar uThā jo abhī un bazm se

    mujh ko gumān hai kahīñ 'hāmid' yahī na ho

    saqi wo baat aur hai marzi teri na ho

    mumkin nahin ki shishe mein kuchh bhi bachi na ho

    haalat KHarab aisi kisi ki hui na ho

    isa bhi aaen to bhi meri jaan bari na ho

    sine mein shor aaj hai kaisa macha hua

    dekho to aarzu koi sar piTti na ho

    furqat mein jaan bachne ki ummid to nahin

    han aur chaar din meri haalat buri na ho

    tum hath mere sine pe rakkho to naz se

    mumkin nahin ki dard-e-jigar mein kami na ho

    kyunkar banega aap ke aane se us ka kaam

    bachne ki jis gharib ke ummid hi na ho

    kya kya bahak raha hai ye baaton mein dekhna

    mujh ko guman hai kahin waiz ne pi na ho

    girta na ek din bhi ki jis mein bajae ashk

    aankhon se meri KHun ki naddi bahi na ho

    wo shoKH mehrban ho to duniya ho mehrban

    wo muddaa na ho to koi muddai na ho

    dil pherne ka us se na hargiz karun sawal

    zalim ne chashm-e-mehr agar pher li na ho

    khane ke waste gham-e-ulfat na ho agar

    is lutf is maze se basar zindagi na ho

    pahlu mein tum raqib ke baiTho KHuda ki shan

    dekho qayamat aaj kahin uTh khaDi na ho

    dil tham kar uTha jo abhi un ki bazm se

    mujh ko guman hai kahin 'hamid' yahi na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now