Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sare chaqmaq-badan aae tha tayyari se

Nomaan Shauque

sare chaqmaq-badan aae tha tayyari se

Nomaan Shauque

MORE BYNomaan Shauque

    saare chaqmāq-badan aa.e thā tayyārī se

    raushnī ḳhuub huī raat chingārī se

    un daraḳhtoñ udāsī pe taras aatā hai

    lakḌiyāñ rang na duuñ aag pichkārī se

    koī dā'vā bhī nahīñ kartā masīhā.ī

    ham bhī āzād hue jaate haiñ bīmārī se

    muñh lagāyā nahīñ aslaha-sāzoñ ko kabhī

    maiñ ne duniyā ko harāyā bhī to dildārī se

    'ishq bhī log numā.ish ke liye karte haiñ

    kyā namāzeñ bhī paḌhī jaatī haiñ 'ayyārī se

    saarā bāzār chalā aayā hai ghar meñ phir bhī

    baaz aate haiñ kahāñ log ḳharīdārī se

    āḳhirī niiñd se pahle kahāñ samjheñge ham

    ḳhvāb se Darnā zarūrī hai ki bedārī se

    husn jis chhāñv meñ baiThā thā vo qātil to na thī

    jal ga.e jism nigāhoñ shajar-kārī se

    kam-se-kam maiñ to murīd un nahīñ ho saktā

    jo pas-e-raqs-e-junūñ baiThe haiñ hushyārī se

    sare chaqmaq-badan aae tha tayyari se

    raushni KHub hui raat ki chingari se

    un daraKHton ki udasi pe taras aata hai

    lakDiyan rang na dun aag ki pichkari se

    koi da'wa bhi nahin karta masihai ka

    hum bhi aazad hue jate hain bimari se

    munh lagaya hi nahin aslaha-sazon ko kabhi

    main ne duniya ko haraya bhi to dildari se

    'ishq bhi log numaish ke liye karte hain

    kya namazen bhi paDhi jati hain 'ayyari se

    sara bazar chala aaya hai ghar mein phir bhi

    baz aate hain kahan log KHaridari se

    aaKHiri nind se pahle kahan samjhenge hum

    KHwab se Darna zaruri hai ki bedari se

    husn jis chhanw mein baiTha tha wo qatil to na thi

    jal gae jism nigahon ki shajar-kari se

    kam-se-kam main to murid un ka nahin ho sakta

    jo pas-e-raqs-e-junun baiThe hain hushyari se

    Source:

    Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 47)

    • Author: Nomaan Shauq
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now