Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sare gamle sukh gae hain kaisa mausam aaya hai

Rafiq Raaz

sare gamle sukh gae hain kaisa mausam aaya hai

Rafiq Raaz

MORE BYRafiq Raaz

    saare gamle suukh ga.e haiñ kaisā mausam aaya hai

    gulshan gulshan vīrānī hai phuul haiñ aur na sabza hai

    ahl-e-ḳhirad kuchh soch rahe haiñ chhoḌo un zikr kiyā

    dīvāne bhī muhr ba-lab haiñ shahr meñ ik sannāTā hai

    raat añdherī ḳhauf aalam ke kahāñ sar phoḌeñge

    band kivāḌoñ par dastak to dīvānoñ hissa hai

    ahl-e-basīrat soch se aarī kaale dhande gore log

    ham ne be-kārī ke dinoñ meñ jaane kyā kyā sochā hai

    ghar ke āñgan meñ cherī ke phuul khile to kyā hāsil

    qarya qarya vīrānī hai gulshan gulshan ujḌā hai

    aḳhbāroñ meñ chhapvātā huuñ na.ī na.ī ġhazleñ aksar

    aaj mire dīvāne-pan saare shahr meñ charchā hai

    'rāz' tumheñ ye kyā sūjhī hai jo sher sunāne nikle ho

    ye lāshoñ shahr hai is par ifrītoñ saayā hai

    sare gamle sukh gae hain kaisa mausam aaya hai

    gulshan gulshan virani hai phul hain aur na sabza hai

    ahl-e-KHirad kuchh soch rahe hain chhoDo un ka zikr hi kiya

    diwane bhi muhr ba-lab hain shahr mein ek sannaTa hai

    raat andheri KHauf ka aalam ja ke kahan sar phoDenge

    band kiwaDon par dastak to diwanon ka hissa hai

    ahl-e-basirat soch se aari kale dhande gore log

    hum ne be-kari ke dinon mein jaane kya kya socha hai

    ghar ke aangan mein cheri ke phul khile to kya hasil

    qarya qarya virani hai gulshan gulshan ujDa hai

    aKHbaron mein chhapwata hun nai nai ghazlen aksar

    aaj mere diwane-pan ka sare shahr mein charcha hai

    'raaz' tumhein ye kya sujhi hai jo sher sunane nikle ho

    ye lashon ka shahr hai is par ifriton ka saya hai

    Source:

    Muntakhab Ghazlein-1982 (Pg. 87)

      • Publisher: Zahid Malik
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now