Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sare KHake uske KHake sara manzar us ka hai

wafa Hijazi

sare KHake uske KHake sara manzar us ka hai

wafa Hijazi

MORE BYwafa Hijazi

    saare ḳhāke us ke ḳhāke saarā manzar us hai

    apnā muqaddar qatra-e-shabnam aur samundar us hai

    garm havā.eñ dhuup bagūle dasht ye sahrā mere haiñ

    kirneñ jugnū shabnam ḳhushbū sarv sanobar us hai

    dekho vo tārīḳh khaḌī hai ek sunahrā baab liye

    jo maqtal meñ pahle pahuñchā aaj muqaddar us hai

    jis ko maiñ ne phuul diye aur phūloñ mahkāreñ diiñ

    merī jānib aane vaalā pahlā patthar us hai

    kāhkashāñ saarī jihateñ chāñd āñgan dekh liyā

    aisī to haiñ us galiyāñ aisā to ghar us hai

    maiñ kyā jānūñ qahr-o-ġhazab pādāsh-e-amal baat 'vafā'

    apnī haiñ zaitūn shāḳheñ arsa-e-mahshar us hai

    sare KHake us ke KHake sara manzar us ka hai

    apna muqaddar qatra-e-shabnam aur samundar us ka hai

    garm hawaen dhup bagule dasht ye sahra mere hain

    kirnen jugnu shabnam KHushbu sarw sanobar us ka hai

    dekho wo tariKH khaDi hai ek sunahra bab liye

    jo maqtal mein pahle pahuncha aaj muqaddar us ka hai

    jis ko main ne phul diye aur phulon ki mahkaren din

    meri jaanib aane wala pahla patthar us ka hai

    kahkashan ki sari jihaten chand ka aangan dekh liya

    aisi to hain us ki galiyan aisa to ghar us ka hai

    main kya jaanun qahr-o-ghazab padash-e-amal ki baat 'wafa'

    apni hain zaitun ki shaKHen arsa-e-mahshar us ka hai

    Source:

    Muntakhab Ghazlein-1982 (Pg. 173)

      • Publisher: Zahid Malik
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now