Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sare manzar ek jaise sari baaten ek si

Muneer Niyazi

sare manzar ek jaise sari baaten ek si

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    saare manzar ek jaise saarī bāteñ ek

    saare din haiñ ek se aur saarī rāteñ ek

    be-natīja be-samar jañg-o-jadal suud o ziyāñ

    saarī jīteñ ek jaisī saarī māteñ ek

    sab mulāqātoñ maqsad kārobār-e-zar-garī

    sab dahshat ek jaisī sab ghāteñ ek

    ab kisī meñ agle vaqtoñ vafā baaqī nahīñ

    sab qabīle ek haiñ ab saarī zāteñ ek

    ek ruḳh asīrī ḳhvāb hai shahroñ ab

    un ke mātam ek se un barāteñ ek

    hoñ agar zer-e-zamīñ to fā.eda hone kyā

    sañg o gauhar ek haiñ phir saarī dhāteñ ek

    ai 'munīr' āzād ho is sehr-e-yak-rañgī se

    ho ga.e sab zahr yaksāñ sab nabāteñ ek

    sare manzar ek jaise sari baaten ek si

    sare din hain ek se aur sari raaten ek si

    be-natija be-samar jang-o-jadal sud o ziyan

    sari jiten ek jaisi sari maten ek si

    sab mulaqaton ka maqsad karobar-e-zar-gari

    sab ki dahshat ek jaisi sab ki ghaten ek si

    ab kisi mein agle waqton ki wafa baqi nahin

    sab qabile ek hain ab sari zaten ek si

    ek hi ruKH ki asiri KHwab hai shahron ka ab

    un ke matam ek se un ki baraaten ek si

    hon agar zer-e-zamin to faeda hone ka kya

    sang o gauhar ek hain phir sari dhaten ek si

    ai 'munir' aazad ho is sehr-e-yak-rangi se tu

    ho gae sab zahr yaksan sab nabaaten ek si

    Source:

    kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 406)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now