sare mausam badal gae shayad
saare mausam badal ga.e shāyad
aur ham bhī sambhal ga.e shāyad
jhiil ko kar ke māhtāb supurd
aks pā kar bahal ga.e shāyad
ek Thahrāv aa gayā kaisā
zāviye hī badal ga.e shāyad
apnī lau meñ tapā ke ham ḳhud ko
mom ban kar pighal ga.e shāyad
kāñptī lau qarār paane lagī
jhoñke aa kar nikal ga.e shāyad
ham havā se bachā rahe the jinheñ
un charāġhoñ se jal ga.e shāyad
ab ke barsāt meñ bhī dil ḳhush hai
hijr ke ḳhauf Tal ga.e shāyad
saaf hone lage sabhī manzar
ashk āñkhoñ se Dhal ga.e shāyad
bārish-e-sañg jaise bārish-e-gul
saare patthar pighal ga.e shāyad
vo 'alīnā' badal gayā thā bahut
is liye ham sambhal ga.e shāyad
sare mausam badal gae shayad
aur hum bhi sambhal gae shayad
jhil ko kar ke mahtab supurd
aks pa kar bahal gae shayad
ek Thahraw aa gaya kaisa
zawiye hi badal gae shayad
apni lau mein tapa ke hum KHud ko
mom ban kar pighal gae shayad
kanpti lau qarar pane lagi
jhonke aa kar nikal gae shayad
hum hawa se bacha rahe the jinhen
un charaghon se jal gae shayad
ab ke barsat mein bhi dil KHush hai
hijr ke KHauf Tal gae shayad
saf hone lage sabhi manzar
ashk aankhon se Dhal gae shayad
barish-e-sang jaise barish-e-gul
sare patthar pighal gae shayad
wo 'alina' badal gaya tha bahut
is liye hum sambhal gae shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.