Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sare ummidon ke phulon ko kuchal kar rakh diya

Zahid Tandavi

sare ummidon ke phulon ko kuchal kar rakh diya

Zahid Tandavi

MORE BYZahid Tandavi

    saare ummīdoñ ke phūloñ ko kuchal kar rakh diyā

    shīsha-e-dil par hamāre us ne patthar rakh diyā

    apnī bastī se añdherā duur ho ye soch kar

    aag bāñhoñ meñ ham ne apnā chhappar rakh diyā

    us āñkhoñ meñ jo dekhe the ba-vaqt-e-ruḳhsatī

    naam un ashkoñ ham ne la.al-o-gauhar rakh diyā

    kyā na.ī tahzīb mere ghar talak bhī aa ga.ī

    sar dopaTTa jo beTī ne uThā kar rakh diyā

    saarī tahrīr maliyā-meT ho kar rah ga.ī

    us ne kāġhaz par jo apnā dīda-e-tar rakh diyā

    maslahat ke phūloñ meñ ḳhanjar na ho koī chhupā

    sochiye qadmoñ pe us ne kyoñ mire sar rakh diyā

    ḳhud vo apne aap meñ majbūr thā 'zāhid' bahut

    bevafā.ī magar ilzām mujh par rakh diyā

    sare ummidon ke phulon ko kuchal kar rakh diya

    shisha-e-dil par hamare us ne patthar rakh diya

    apni basti se andhera dur ho ye soch kar

    aag ki banhon mein hum ne apna chhappar rakh diya

    us ki aankhon mein jo dekhe the ba-waqt-e-ruKHsati

    nam un ashkon ka hum ne lal-o-gauhar rakh diya

    kya nai tahzib mere ghar talak bhi aa gai

    sar ka dopaTTa jo beTi ne uTha kar rakh diya

    sari hi tahrir maliya-meT ho kar rah gai

    us ne kaghaz par jo apna dida-e-tar rakh diya

    maslahat ke phulon mein KHanjar na ho koi chhupa

    sochiye qadmon pe us ne kyon mere sar rakh diya

    KHud wo apne aap mein majbur tha 'zahid' bahut

    bewafai ka magar ilzam mujh par rakh diya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now