Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sari basti mein rafiq-e-moatabar koi nahin

Musavvir Lakhnavi

sari basti mein rafiq-e-moatabar koi nahin

Musavvir Lakhnavi

MORE BYMusavvir Lakhnavi

    saarī bastī meñ rafīq-e-mo'atabar koī nahīñ

    aisī vīrānī ki tā-hadd-e-nazar koī nahīñ

    is liye mahfil meñ shāyad jalva-gar koī nahīñ

    sab tamāshā-gar haiñ lekin dīda-var koī nahīñ

    bhiiḌ to aisī hai rāhoñ par ki chalnā hai muhāl

    merī tanhā.ī ki merā ham-safar koī nahīñ

    ham to ḳhushbū haiñ bikhar jaate haiñ gul se chhūT kar

    ham yahāñ be-ghar hue phir apnā ghar koī nahīñ

    band hotā hai agar ik dar to khulte haiñ hazār

    ye na kahnā ab ki terā dād-gar koī nahīñ

    fart-e-ġham meñ ham usī manzil pe pahoñche jahāñ

    ham-zabāñ koī nahīñ hai ham-safar koī nahīñ

    aa.ina TuuTe to mil jaate haiñ sad.hā shīshagar

    dil agar TuuTe to us chārāgar koī nahīñ

    be-niyāz-e-sang-e-dar jab tak thā maiñ dar the hazār

    ab jo sang-e-dar hasrat hai to dar koī nahīñ

    allah allāh fitna-e-ayyām nairañgiyāñ

    har taraf shīsha-shikan haiñ shīshagar koī nahīñ

    ham 'musavvir' un ko DhūñDheñ bhī to ab DhūñDheñ kahāñ

    the jahāñ raste vahāñ ab rahguzar koī nahīñ

    sari basti mein rafiq-e-mo'atabar koi nahin

    aisi virani ki ta-hadd-e-nazar koi nahin

    is liye mahfil mein shayad jalwa-gar koi nahin

    sab tamasha-gar hain lekin dida-war koi nahin

    bhiD to aisi hai rahon par ki chalna hai muhaal

    meri tanhai ki mera ham-safar koi nahin

    hum to KHushbu hain bikhar jate hain gul se chhuT kar

    hum yahan be-ghar hue phir apna ghar koi nahin

    band hota hai agar ek dar to khulte hain hazar

    ye na kahna ab ki tera dad-gar koi nahin

    fart-e-gham mein hum usi manzil pe ja pahonche jahan

    ham-zaban koi nahin hai ham-safar koi nahin

    aaina TuTe to mil jate hain sadha shishagar

    dil agar TuTe to us ka chaaragar koi nahin

    be-niyaz-e-sang-e-dar jab tak tha main dar the hazar

    ab jo sang-e-dar ki hasrat hai to dar koi nahin

    allah allah fitna-e-ayyam ki nairangiyan

    har taraf shisha-shikan hain shishagar koi nahin

    hum 'musawwir' un ko DhunDhen bhi to ab DhunDhen kahan

    the jahan raste wahan ab rahguzar koi nahin

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now