Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sari duniya mein hai kis tarah ka manzar yara

Gaazi Moin

sari duniya mein hai kis tarah ka manzar yara

Gaazi Moin

MORE BYGaazi Moin

    saarī duniyā meñ hai kis tarah manzar yaarā

    apne ghar meñ hai har aadmī Dar kar yaarā

    ek bechainī hai qalb ke andar yaarā

    merī tanhā.ī hai ab bazm se baḌh kar yaarā

    pyaar kab rahtā hai bandish meñ Thahar kar yaarā

    baḌhtā jaatā hai ye had se guzar kar yaarā

    us āñkhoñ ḳhumārī qasam hai ham ko

    Duube ik baar jo nikle na ubhar kar yaarā

    dhaḌkan pe merī ik terā likhā hai naam

    dekh lenā kabhī dil meñ utar kar yaarā

    sari duniya mein hai kis tarah ka manzar yara

    apne hi ghar mein hai har aadmi Dar kar yara

    ek bechaini si hai qalb ke andar yara

    meri tanhai hai ab bazm se baDh kar yara

    pyar kab rahta hai bandish mein Thahar kar yara

    baDhta hi jata hai ye had se guzar kar yara

    us ki aankhon ki KHumari ki qasam hai hum ko

    Dube ek bar jo nikle na ubhar kar yara

    dhaDkan pe meri ek tera hi likha hai nam

    dekh lena tu kabhi dil mein utar kar yara

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now