Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sat suron ka bahta dariya tere nam

Ayub Khawar

sat suron ka bahta dariya tere nam

Ayub Khawar

MORE BYAyub Khawar

    saat suroñ bahtā dariyā tere naam

    har sur meñ hai rañg-dhanak tere naam

    jañgal jañgal uḌne vaale sab mausam

    aur huā hai sabz dupaTTa tere naam

    hijr shaam akelī raat ke ḳhālī dar

    sub.h-e-firāq zard ujālā tere naam

    tere binā jo umr batā.ī biit ga.ī

    ab is umr baaqī hissa tere naam

    in shā.ir ā.ankhoñ ne jitne rañg chune

    un aks aur merā chehra tere naam

    dukh ke gahre niile samundar meñ 'ḳhāvar'

    us āñkheñ ek jazīra tere naam

    sat suron ka bahta dariya tere nam

    har sur mein hai rang-dhanak ka tere nam

    jangal jangal uDne wale sab mausam

    aur hua hai sabz dupaTTa tere nam

    hijr ki sham akeli raat ke KHali dar

    subh-e-firaq ka zard ujala tere nam

    tere bina jo umr batai bit gai

    ab is umr ka baqi hissa tere nam

    in shair aaankhon ne jitne rang chune

    un ka aks aur mera chehra tere nam

    dukh ke gahre nile samundar mein 'KHawar'

    us ki aankhen ek jazira tere nam

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 612)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2013-14
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now