Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sath chhuTe nahin ab gawara mujhe

Shagufta Shafiq

sath chhuTe nahin ab gawara mujhe

Shagufta Shafiq

MORE BYShagufta Shafiq

    saath chhūTe nahīñ ab gavārā mujhe

    chāhe ilzām de jag ye saarā mujhe

    terī chāhat ne aisā nikhārā mujhe

    jhuk ke takne lagā har sitārā mujhe

    na ho paas mere to ai jān-e-jāñ

    koī lagtā nahīñ tujh pyārā mujhe

    be-ḳhudī meñ chalī aa.ī terī taraf

    ne jab jab kiyā hai ishārā mujhe

    pyaar ne tere mas.hūr kar diyā

    ne jab se diyā hai sahārā mujhe

    sab jhūTī navāzish se tang aa ga.ī

    ab na koī pukāre ḳhudārā mujhe

    saath jo 'shagufta' ke chalne lagā

    achchhā lagne lagā har nazārā mujhe

    sath chhuTe nahin ab gawara mujhe

    chahe ilzam de jag ye sara mujhe

    teri chahat ne aisa nikhaara mujhe

    jhuk ke takne laga har sitara mujhe

    tu na ho pas mere to ai jaan-e-jaan

    koi lagta nahin tujh sa pyara mujhe

    be-KHudi mein chali aai teri taraf

    tu ne jab jab kiya hai ishaara mujhe

    pyar ne tere mashur sa kar diya

    tu ne jab se diya hai sahaara mujhe

    sab ki jhuTi nawazish se tang aa gai

    ab na koi pukare KHudara mujhe

    sath tu jo 'shagufta' ke chalne laga

    achchha lagne laga har nazara mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now