Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sath de sakta nahin zahid ka iman dur tak

Parvez Shahidi

sath de sakta nahin zahid ka iman dur tak

Parvez Shahidi

MORE BYParvez Shahidi

    saath de saktā nahīñ zāhid īmāñ duur tak

    rahī hai merī fikr-e-nā-musalmāñ duur tak

    tere dīvānoñ ne shāne qasam khaa.ī hai aaj

    baat ab jā.egī ai zulf-e-pareshāñ duur tak

    ai junūn-e-āsmāñ-parvāz terā shukriya

    rahā hai aaj uḌ uḌ kar garebāñ duur tak

    ye nahīñ mumkin ki sāhil tasavvur Duub jaa.e

    kuchh safīnoñ ko Dubote jaa.eñ tūfāñ duur tak

    jis ko aanā hai vo aa.e jis ko rahnā hai rahe

    rahguzar rahguzar hai duur tak haañ duur tak

    ai shab-e-ġham kyā karūñ ḳhvāb-e-sahar kyā karūñ

    hai falak par to charāġhāñ charāġhāñ duur tak

    moch āḳhir aa ga.ī vīrāniyoñ ke paañv meñ

    saath to gulshan ke dauḌe the bayābāñ duur tak

    sath de sakta nahin zahid ka iman dur tak

    ja rahi hai meri fikr-e-na-musalman dur tak

    tere diwanon ne shane ki qasam khai hai aaj

    baat ab jaegi ai zulf-e-pareshan dur tak

    ai junun-e-asman-parwaz tera shukriya

    ja raha hai aaj uD uD kar gareban dur tak

    ye nahin mumkin ki sahil ka tasawwur Dub jae

    kuchh safinon ko Dubote jaen tufan dur tak

    jis ko aana hai wo aae jis ko rahna hai rahe

    rahguzar hi rahguzar hai dur tak han dur tak

    ai shab-e-gham kya karun KHwab-e-sahar ka kya karun

    hai falak par to charaghan hi charaghan dur tak

    moch aaKHir aa gai viraniyon ke panw mein

    sath to gulshan ke dauDe the bayaban dur tak

    Source:

    غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 385)

    • Author: فرحت احساس
      • Publisher: ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now